रविवार, अगस्त 04, 2013

Dosti Kya Hai ...

Dosti to woh ehsaas hai,
Jissey har pal, har lamha,
Jiya Jata hai,
Dosti to woh pyaas hai,
Jismey aansun ko bhi kushi banke,
Piya jata hai.

Dosti to woh armaan hai,
Jismein kuch kar guzarne ko,
Ji chahta hai.
Dosti to woh jazbaa hai,
Jismein khud se jyada dost pe,
Naaz aata hai.

Dosti to woh leher  hai,
Jo door chali bhi jaye to milne,
Chali aati hai.
Dosti to woh kahani hai,
Jo marne ke baad bhi,
Sunai jaati hai.

Dosti to woh nagma hai,
Jo sunai de raha hai sadiyon se,
Is jahan mein.
Dosti to woh khusboo hai,
Jo bikhri hai zzarre zzarre mein aur,
Is fiza mein.

Dosti to woh ibadat hai,
Na mandir, na masjid, na gurudware ki,
Zaroorat hai.
Dosti to woh tasveer hai,
Jismein rang bhardo koi bhi,
Khoobsurat hai.

Yoon to hum roz jalate hain dil mein,
Doston ki salamati ke liye,
Dosti ka diya.
Chalo aaj zamana bhi keh raha hai,
To humney bhi phir se keh diya :-).

A Very Happy Friendship Day,
To all my lovely friends around the World.

शनिवार, जून 29, 2013

Jiyo ji bharke

Dil mein kuch gum bhi chupe hain,
Aankhon mein kuch nami bhi hai,
Is poori-poori si zindagi mein,
Shayad kuch kami bhi hai.

Main phir bhi ji raha hoon,
Is duniya ke bhool-bhuliya mein,
Chehre pe kabhi kushi ka naqab odhey,
Chahe leta hoon dukhoon ki shaiya mein.

Main yeh ji raha hoon ya qaid hoon,
Haathon par bani lakeroon mein,
Yeh zindagi woh to nahin,
Jo dikhti hai sapnon ki tasveeron mein.

Kahan hai sej narm phoolon ki,
Makhmal ke woh sihrane kahan hai,
Yahan to katarein hain shoolon ki,
Aur kathorta se bhara jahan hai.

Par yaroon agar jeena chod doon,
To phir jeena kaisa,
Garmi ki woh tapti dhoop na ho,
Phir saawan ka woh mast mahina kaisa.

Isliye gum bhi mile zindagi mein,
To usey chaashni mein duba ke piyo,
Na aagey ki socho, na jyada peeche ki,
Yeh jo lamha khada hai samne,
Usey aisey khul ke jiyo,
Ki -
Mayuusi bhi aaye to nikhar jaye,
Chhal bhi aaye to utar jaye,
Musibat bhi aaye to sanvar jaye,
Gum bhi aaye to bikhar jaye,
Darr bhi aaye to sihar haye,
Aur agar maut bhi aaye to,
Ik pal ko tahar jaye.

!! Jiyo zindadilli se !!

गुरुवार, जून 13, 2013

Panktiyaan

Aaj dilli ka mausam achanak badal gaya ... garmi se rahat milli aur aisey mausam mein kuch panktiyaan khud ba khud ban gayin ....

Hawaon mein ghuli hui hai khusbhoo,
Ke mausam mein aaj masti bhi hai,
Dil ki umangoon ki lehron mein,
Beh rahi yadoon ki kashti bhi hai,
Guzra waqt laut ke aata nahin yaroon,
Par kabhi kabhi woh raaste dubara milte hain,
Jahan aaj tak saji hui mere bachpan ki basti bhi hai