सोमवार, अगस्त 22, 2011

Ik Junoon ... ik nasha

ik junoon bhi hai aankhoon mein,
khoon mein aaj ravaani bhi hai,
josh bhara hai iradoon mein,
sabne kuch karne ki thani bhi hai.

sahanubhooti dekhkar aaj anjanoon ki,
aankhein kuch namm si ho gayin,
takleefein bahut hain desh mein lekin,
dekhke logon ki shakti thodi kumm si ho gayin.

yej aghazz hai ujjwal bhavishya ka,
yej shanknaad hai nyaaye ka,
hum sabka hai ek hi sapna,
ant ho anyaaye ka .... Jai Hind.

बुधवार, जून 15, 2011

Mausam

Bhini Bhini si khushboo hai fizaon mein,
Hawaon mein jane yeh kaisi kashish hai,
Chahak raha hai dil mast mausam ki bagiya mein,
Gum hui jo yeh saari tapish hai.

Bhar rahi sasoon mein mahak jyun is mitti ki,
Mann baanwara sa hua hai,
Pass na hokar bhi choo raha hai koi,
Mere ehsasoon ko yeh kya hua hai.

Kaash badaley na yeh mausam,
Aur yeh jadoo yunhi chalta rahey,
Piro ke rakhlo jeevan mein in sheetal lamhoon ko,
Dost yeh mausam hai,
Aur yeh masusam yunhi badalta rahey.