रविवार, अगस्त 04, 2013

Dosti Kya Hai ...

Dosti to woh ehsaas hai,
Jissey har pal, har lamha,
Jiya Jata hai,
Dosti to woh pyaas hai,
Jismey aansun ko bhi kushi banke,
Piya jata hai.

Dosti to woh armaan hai,
Jismein kuch kar guzarne ko,
Ji chahta hai.
Dosti to woh jazbaa hai,
Jismein khud se jyada dost pe,
Naaz aata hai.

Dosti to woh leher  hai,
Jo door chali bhi jaye to milne,
Chali aati hai.
Dosti to woh kahani hai,
Jo marne ke baad bhi,
Sunai jaati hai.

Dosti to woh nagma hai,
Jo sunai de raha hai sadiyon se,
Is jahan mein.
Dosti to woh khusboo hai,
Jo bikhri hai zzarre zzarre mein aur,
Is fiza mein.

Dosti to woh ibadat hai,
Na mandir, na masjid, na gurudware ki,
Zaroorat hai.
Dosti to woh tasveer hai,
Jismein rang bhardo koi bhi,
Khoobsurat hai.

Yoon to hum roz jalate hain dil mein,
Doston ki salamati ke liye,
Dosti ka diya.
Chalo aaj zamana bhi keh raha hai,
To humney bhi phir se keh diya :-).

A Very Happy Friendship Day,
To all my lovely friends around the World.

शनिवार, जून 29, 2013

Jiyo ji bharke

Dil mein kuch gum bhi chupe hain,
Aankhon mein kuch nami bhi hai,
Is poori-poori si zindagi mein,
Shayad kuch kami bhi hai.

Main phir bhi ji raha hoon,
Is duniya ke bhool-bhuliya mein,
Chehre pe kabhi kushi ka naqab odhey,
Chahe leta hoon dukhoon ki shaiya mein.

Main yeh ji raha hoon ya qaid hoon,
Haathon par bani lakeroon mein,
Yeh zindagi woh to nahin,
Jo dikhti hai sapnon ki tasveeron mein.

Kahan hai sej narm phoolon ki,
Makhmal ke woh sihrane kahan hai,
Yahan to katarein hain shoolon ki,
Aur kathorta se bhara jahan hai.

Par yaroon agar jeena chod doon,
To phir jeena kaisa,
Garmi ki woh tapti dhoop na ho,
Phir saawan ka woh mast mahina kaisa.

Isliye gum bhi mile zindagi mein,
To usey chaashni mein duba ke piyo,
Na aagey ki socho, na jyada peeche ki,
Yeh jo lamha khada hai samne,
Usey aisey khul ke jiyo,
Ki -
Mayuusi bhi aaye to nikhar jaye,
Chhal bhi aaye to utar jaye,
Musibat bhi aaye to sanvar jaye,
Gum bhi aaye to bikhar jaye,
Darr bhi aaye to sihar haye,
Aur agar maut bhi aaye to,
Ik pal ko tahar jaye.

!! Jiyo zindadilli se !!

गुरुवार, जून 13, 2013

Panktiyaan

Aaj dilli ka mausam achanak badal gaya ... garmi se rahat milli aur aisey mausam mein kuch panktiyaan khud ba khud ban gayin ....

Hawaon mein ghuli hui hai khusbhoo,
Ke mausam mein aaj masti bhi hai,
Dil ki umangoon ki lehron mein,
Beh rahi yadoon ki kashti bhi hai,
Guzra waqt laut ke aata nahin yaroon,
Par kabhi kabhi woh raaste dubara milte hain,
Jahan aaj tak saji hui mere bachpan ki basti bhi hai

सोमवार, अगस्त 22, 2011

Ik Junoon ... ik nasha

ik junoon bhi hai aankhoon mein,
khoon mein aaj ravaani bhi hai,
josh bhara hai iradoon mein,
sabne kuch karne ki thani bhi hai.

sahanubhooti dekhkar aaj anjanoon ki,
aankhein kuch namm si ho gayin,
takleefein bahut hain desh mein lekin,
dekhke logon ki shakti thodi kumm si ho gayin.

yej aghazz hai ujjwal bhavishya ka,
yej shanknaad hai nyaaye ka,
hum sabka hai ek hi sapna,
ant ho anyaaye ka .... Jai Hind.

बुधवार, जून 15, 2011

Mausam

Bhini Bhini si khushboo hai fizaon mein,
Hawaon mein jane yeh kaisi kashish hai,
Chahak raha hai dil mast mausam ki bagiya mein,
Gum hui jo yeh saari tapish hai.

Bhar rahi sasoon mein mahak jyun is mitti ki,
Mann baanwara sa hua hai,
Pass na hokar bhi choo raha hai koi,
Mere ehsasoon ko yeh kya hua hai.

Kaash badaley na yeh mausam,
Aur yeh jadoo yunhi chalta rahey,
Piro ke rakhlo jeevan mein in sheetal lamhoon ko,
Dost yeh mausam hai,
Aur yeh masusam yunhi badalta rahey.

रविवार, अप्रैल 04, 2010

Doston Ke Liye

Main zindagi ki daud mein bhagey ja raha tha,
Ki achanak se ek lamha aa gaya,
Mere kadam ruk gaye wahin pe,
Ki ankhoon mein yadon ka mela cha gaya.


Bahut shukriya khuda tera,
Ki tune lamhe hi nahin, yaadon ko bhi banaya hai,
Laut to nahin sakta un lamhoon mein jo guzar gaye,
Par saja leta hoon un yadoon ko kabhi kabhi,
Jinhey tune meri zingadi mein basaya hai.

Mano har beeta lamha zindagi ka yeh,
Apne aap mein ek zindagi hai,
Main ji raha hoon issey ji bhar ke,
Ki bahut kismet se yeh mili hai.

Yeh jo bhi kuch hua hai,
Mere yaroon ki hi dua hai,
Jo jahan bhi hai, salamat rahe,
Meri to dil se dua hai.

सोमवार, दिसंबर 28, 2009

कल्पना

बहुत दिनों के बाद शब्दों से,
आज फिर एक तस्वीर बनाई है,
अपनी कल्पना के आभूषणों से,
उसकी छवि सजाई है|
रंग बिखेरे सपनों के,
इछाओं से श्रृंगार किया,
संगीत भरा फिर सासों में,
उसको जीवन का हार दिया|
अपना उसको हर्ष दिया,
बाँहों का अपनी स्पर्श दिया,
भावनाओं की अनुभूति देकर,
उसको जीवन का अर्थ दिया|
फिर रचना की एक मधुबन की,
फूलों से उसको महकाया,
यौवन की मस्त बहारों से,
फिर उस मधुबन को बहकाया|
नयनाभिराम, वो मन मोहिनी,
मैं चंचल हूँ, वो चंचलता,
नवमालिका सी महके वो,
मैं मादक हूँ, वो मादकता|
समय गुज़ारा साथ में जो,
ना जाने कब वो बीत गया,
मैं हारा दिल उसपे अपना,
और हार के भी जीत गया|
बात हुई फिर जाने की,
वादा लेकर फिर आने का,
आँखों ने स्वीकार किया,
कल्पना से साथ निभाने का|